Shaddi.com

kumar-vishwas


  • Meri Aakhon Me Mohabbat Ki Chamak Aaj Bhi Hai…Halanki Usko Mere Pyar Par Shaq Aaj Bhi Hai
    Naav Par Baithkar Dhoye The Usne Hath Kabhi, Poore Talaab Me Mehandi Ki Mehak Aaj Bhi Hai.
  • Badalne Ko To Inn Aankhon Ke Manjar Kam Nahi Badle, Tumhari Yaad Ke Mausam Humare Gam Nahi Badle,
    Tum Agle Janm Me Humse Milogi Tab Ye Manogi….Jamane Aur Sadi Ki Iss Badal Me Hum Nahi Badle..
  • Panaho Me Jo Aaya Ho To Uspar Waar Kya Karna, Jo Dil Hara Hua Ho…Uspe Phir Adhikaar Kya Karna,
    Mohabbat Ka Mazaa To Dubne Ki Kasmkash Me Hai….Jo Maloom Ho Gehraai To Dariya Paar Kya Karna..
  • Koi Manzil Nahi Jachti, Safar Achcha Nahi Lagta…Agar Ghar Laut Bhi Aaun To Ghar Achcha Nahi Lagta…
    Karun Kuch Bhi Mai Ab Duniya Ko Sab Achcha Hi Lagta Hai, Mujhe Kuch Bhi Tumhare Bin Magar Achcha Nahi Lagta.
  • Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota, Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota?
    Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo, Fakat Uss Aadmi Se Ye Jamana Kam Nahi Hota.
  • Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain
    magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain
    Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain
    Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain
    Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain
    kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain
    Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain
    Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain
    Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage
    Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage
    Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
    Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
    Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
    Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta
    Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama
    Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama
    Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka
    Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama
    Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hai
    magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hai
    Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hai
    Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai
    mohobbat ek ehsason ki paawan si kahaani hai
    kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai
    Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai
    Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe to paani hai
    Swayam se door ho tum bhi Swayam se door hain hum bhi
    bahut ho mashur ho tum bhi bahut mashoor hain humbhi
    bade magroor ho tum bhi bade magroor hai hum bhi
    Atah mazboor ho tum bhi Atah mazboor hain hum bhi
    Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya
    Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya
    Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka kissa
    Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya
    Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama
    Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama
    Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka
    Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama
    Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai
    Bhari mehfil mein bhi ruswaa mujhe har baar karta hai
    yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin
    Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai
    Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain
    Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain
    Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain
    Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain
    Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
    Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
    Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
    Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta
    ye dil barbad karte ek mein kyun abaad rehte ho,
    koi kal keh raha tha tum allahbad rehte ho,
    ye kaisi shohrate mujko atah kardi mere maula,
    main sab kuch bhool jata hu magar tum yaad rehte ho,
    panaho mein jo aaya ho to us par waar kya karna
    jo dil hara hua ho us pe fir adhikar kya karna
    mohabbat ka maza to doobne ki kasmakash mein hain
    jo ho malum gehraiyee to dariya paar kya karna
    hamre sher sun kar ke bhi jo khamosh itna hai.
    khuda jane gurur-e-husn mein madhosh kitna hai
    kisi pyale se pooncha hain surahi se sabab maika
    jo khud behosh ho wo kya bataye hosh kitna hain
    Basti basti ghor udashi, parwat parwat khali pan
    man heera ke mol lut gaya ghish ghishri ka tan chandan
    is dhatri se us ambar tak do hi cheez gazab ki hain
    ek to tera bhola pan, ek mera deewana pan
    Jiski dhun par duniya nache, Dil aisa ektara hai
    jo humko bhi pyara hain, jo tumko bhi pyara hain
    jhoom rahi hain sari duniya jabki hamre geeto par
    tab kehti ho pyar hua hai kya ye pyar tumhara hai
    mehli mehfil muskana to padta hai
    khud hi khud ko samjhana to padta hai
    uski ankhon se hokar dil tak jana
    raste mein ye maikhana to padta hain
    tumko pane ki kshish mein khatam hue
    ishq mein itna jurmana to padta hain
    sab fasile hote nahi sikke uchal ke
    ye dil ke mamle hain zara dekh bal ke
    mobileo ke daur ke ahshiq ko kya pata
    rakte the khat mein kaleja nikal ke
    murda lohe se bhi auzar banae wale,
    apne ansoon ko bhi hathiyaar banane wale,
    humko bekar samajhte hai siyasadna magar
    hum hain is mulq ki sarkar banane wale
    jo waqt ki andhi se khabar dar nahi hai,
    kuch aur hi hoga wo wo kalankar nahi hai,
    sada ye hain neende cheen li dono ki ankhon se,
    khata ye thi ki dono ne milkar khwab dekha,
    pyar jab jism ki cheekho mein dafan ho jaye
    odni is taraf uljhe ki kafan ho jaye
    ghar ke aisas jab bazar ki sharto mein dhale
    ajnabi log jab hamrah ban ke sath chale
    labon se asman tak sabki dua chubh jaye
    bheed ka sor jab kano ke pass ruk jaye
    sitam ki mari hui waqt ki in ankhin mein
    nami ho lakh magar fir bhi muskurayeinge
    andhere waqt mein bhi geet gayenge
    log kehte rahein is raat ki subah hi nahi
    keh de suraj ki rosni ka tajurba hi nahi
    wo ladaye ko bhale aar par le jayen
    loha le jaye wo lohe ki dhar le jaye
    jiski chaukhat se taraju tak ho unpar girwi
    us adalt mein hamein bar bar le jaye
    hum agar gunguna bhi denge to wo sab ke sab
    humko kagaz se hara kar bhi har jayenge
    andhere waqt mein bhi geet gayen jayenge
    Suno patna ki galiyon se, suno dilli ki galiyon se
    ye awazein bhi aati, jinhein bhaise charnai thi wo sarkaar chalati hain
  • Har ek nadiya ke hoto pe samandar ka taraana hai,
    yaha farhaad ke aage sada koi bahana hai…!
    Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai,
    Tumhare aur mere bich me phir se jamana hai…!!
    Kalam ko khhon me khud ke dubota hoon to hangama,
    Girebaan apnaa aansu me bhingota hoon to hangama,
    Nahi mujh par bhi jo khud ki khabar wo hai jamane par,
    Main hansta hoon to hangama, mai tota hoon to hangama.